Tuesday, June 15, 2010

Insaanoo Ki Is Basti Main Kuch Aise Log


Insaanoo Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey Hastey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Rehtey Hain Kuch Maseeha Bhi
Jo Kartey Bass Maseehae
Chhup Chhup Kar Wo Rehtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Sanam Aise
Jo Apni Hi Is Pooja Se
Kuch Kuch Dartey Rehtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Farishtey Bhi
Jab Ghalti Ka Imkaan Nahi
To Na Janey Kion Darte Hain?

Insaano Ki Si Basti Main
Kuch Log Baney Hain Shedai
Jo Hulye Se Hain Dewaney
Par Baat Feham Ki Kartey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Log Ajab Se Rehtey Hain
Kartey Hain Kaam Darindoon K
Aur Khud Ko Insaan Kehtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Usse Ki Marzi K Tabe Hain
Jo Jeetey Hain Jo Martey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Jab Ataa Karey To Aise Karey
Sab Malik Bhi Phir Mangtey Hain

Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey Hastey Hain


Insaanoo Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain

No comments:

Popular Posts