Meri Zindagi to firaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
Woh nigah-e-shoq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareeb sahi
Humain jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi
Humain ap khinchiye daar per, jo nahin koi to humi sahi
Sar-e-tur ho sar-e-hashr ho, humain intezaar qubool hai
Woh kabhi milain, woh kahin milain, woh kabhi sahi, woh kahin sahi
Huwa un pe jo mera bas nahin, ke yeh aashqi hai hawas nahin
Main un hi ka tha unhi ka hoon, woh merey nahin to nahin sahi
Jo ho faisla woh sunaiyye, isey hashr per na uthaiyye
Jo karain ge aap sitam wahan, woh abhi sahi woh yahin sahi
Gham-e-zindagi se farar kiya, yeh sukoon kiya yeh qara kiya
Gham-e-zindagi bhi hai zindagi, jo nahin chain to nahin sahi
Usey dekhney ki jo lou lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum
Woh hazar aankh se door hon, woh hazar parda nasheen sahi
No comments:
Post a Comment