Tuesday, June 15, 2010

Is zindagi main hussn ko nikhaar chahiyye

Is zindagi main hussn ko nikhaar chahiyye 
Ujray hain jo gulshan unhain bahaar chahiyye

Deewano ko ye chahiyye had se barhain na woh 
aur aashiqon ko dil pe ikhtiyaar chahiyye 

Unko nahi tassalliy e dil yaar ki taraf 
Iqraar hogaya hai tu izhaar chahiyye 

Sun kar awaaz yaar ki kehtay hain machal kar 
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiyye 

Mohabbat ke liye laazim hain kuch ashyaai 
Dil_o_jaa'n chahiyye imaan_o_aitbaar chahiyye 

Ye sab tu hum ne paaya magar ik aur khahish hai 
Jo bewafa na ho hamain woh yaar chahiyye 

No comments:

Popular Posts