Friday, August 28, 2009

Aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do

Aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do;
Tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do;

Duniya ke ghum soonp ker mujhe;
Ab khush rehney ki dua na do;

Dikhla ker mekhaney ka rastaa phir;
Ab-e-zam zam ki sada na do;

Kaantey bhar ker merey daaman mein;
Mujhe pholoon ki si adaa na do;

Mila ker zeher merey ja’am mein;
Mujhe be-wajah maut ki wajah na do;

Gunaah jo sarzad hua hee mujh se;
Pal pal be gunaahi ki saza na do;

Badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab;
Uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do;

Mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey;
Ilzaam magroori ka de ker ye sila na do;

Jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se;
Pal bhar ki khalish se isey bujha na do;

Mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon;
Mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do;

Zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool;
Nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do;

Cheen ker mujh se zindagi meri;
Mujhe aur jeeney ki bad’dua na do

No comments:

Popular Posts