Friday, August 21, 2009

kuchh to ay yaar ilaj_e_gham_e_tanhai ho

kuchh to ay yaar ilaj_e_gham_e_tanhai ho
baat itni bhi na bardh jaye k ruswai ho

doobnay walay to ankhon say bhi kab niklay hain
doobnay k leay lazim nahen gehrai ho

jis nay bhi mujh ko tmasha sa bna rkha hay
ab zaruri hai wohi shakhs tmashai ho

main tujhay jeet bhi tohfay main nahen day sakta
chahta ye bhi nahen hoon tri paspai ho

aaj to bazm main har ankh thi purnam jaisay
dastaan meri kisi nay yahan dohrai ho

koi anjaan na ho shehr_e_mohabbat ka makeen
kaash har dil ki har ik dil say shnasai ho

yun guzar jata hay faysal tray koochay say
tera waqif na ho jesay koi sodai ho

2 comments:

عمران شناور said...

ghazal ko apnay blog ki zeenat bnanay k leay aik martba phir shukria shukria

FAYSAL'S POETRY said...

you welcome dear.................

Popular Posts