Monday, August 31, 2009

Subh ko sooraj ne jhanka roshni achchhi lagi

Subh ko sooraj ne jhanka roshni achchhi lagi
Shab ko apni chhat pe baithi chandni achchhi lagi

Khet ki merhon pe payal geet lagta hai bhala
Gaanv ki galiyon me phirti ragini achchhi lagi

Dil me ho nafrat to din bhi raat ki maanind hein
Ho muhabbat ki kiran to raat bhi achchhi lagi

Youn to sab kehte hein ye haivaniyat ka daur hai
Aadmi ki aadmiyat aaj bhi achchhi lagi


Bhookh kea ate me jab daala he mehnat ka namak
Rookhi sookhi jaisi bhi roti bani achchhi lagi


Eik boorhe perh ke saaye tale faysal hamein
Doosron ko chhaon deti zindagi achchhi lagi

No comments:

Popular Posts