Wednesday, March 31, 2010

Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi

Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi,

Neel Gagan Ke Saye Tale Ghar Tera Bhi Ghar Mera Bhi,



Rang-O-Nasl Ka Jhagda Kaisa, Kumba Ek Qabila Ek,

Tera Khoon Ka Laal Hai Rang, Waisa Hi Rang Mera Bhi,



Tera Mera Mazhab Kaisa, Pyaar Hi Sabka Mazhab Hai,

Ek Khuda Hai Tera Bhi Aur Tera Khuda Hai Mera Bhi,



Kaun Kisika Dost Hua, Jab Haath Mein Sabke Khanjar Ho,

Band Pitare Mein Rakhta Hai Apna Saanp Sapera Bhi,



Diar Hui Jab BurQ, Giri Thi, Ab Tak Wehshat Tari Hai,

Thak Kar Sooraj Dooblega To Chhayega Andhera Bhi...







_________________

No comments:

Popular Posts