Sunday, March 21, 2010

Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarha


Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarha
Sirf ek baar mulaakat ka mouka de day...

Meri manzil hai kahaan, mera tikhaana hai kahaan
Subha tak tujh se bichar kar mujhe jaana hai kahaan
Sochne ke liye ik raat ka mouka de day...

Apni aankhoon mein chuppa rakhay hain jugnoo mein ne
Apni palkoon pe saja rakhay hain aansoo mein ne
Meri aankhoon ko bhi barsaat ka mouka de day...

Aaj ki raat mera dard-e-muhabbat sun lay
Kap'kapaatay huwe hontoon ki shikaayat sun lay
Aaj izhaar-e-khayaalaat ka mouka de day...

Bhoolna thaa tu yeh iqraar kiya hi kyon thaa
Bewafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon thaa
Sirf do chaar sawaalaat ka mouka de day...

Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarha...
Sirf ek baar mulaakat ka mouka de day...

No comments:

Popular Posts