Tuesday, March 9, 2010

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN

kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se
vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se

kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se
vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se

nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii
vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se

bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa
vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se

tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa
ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-kade se

No comments:

Popular Posts