Tuesday, June 22, 2010

Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha


Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha...
Kashti Ke Musafir Nay Samandar Nahin Dekha...

Bay Waqt Agar Jaoongi Sab Chonk Pare Ge...
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha

Jis Din Se Chali Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai...
Ankhoon Ne Kabhi Mail Ka Patther Nahin Dekha...

Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain...
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha...

Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine...
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha...

Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminay...
Jo Choor Dia Phir Use Moor Kar Nahin Dekha...

Khat Asa Likha Hai Ke Nagine Se Jare Hain...
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha...

Patther Mujhay Kehtey Hain Mere Chahne Wale...
Main Moum Hoon Unhone Mujhe Choh Kar Nahin Dekha...

Wo Mere Masayeel Ko Samajh Hi Nahin Sakte...
Jis Ne Meri Ankhoon Main Samandar Nahin Dekha!

No comments:

Popular Posts