Thursday, December 23, 2010

aaNkhon mein ji mera hai idhar yaar dekhanaa


aaNkhon mein ji mera hai idhar yaar dekhanaa
aashiq kaa apane aaKharii diidaar dekhanaa

kaisaa chaman ke ham se asiiro.n ko manaa hai
chaak-e-qafas se baaG kii diivaar dekhanaa

aa.Nkhe.n churaaiio na Tuk abr-e-bahaar se
merii taraf bhii diidah-e-Khuu.N_baar dekhanaa

ae ham-safar na aable ko pahu.Nche chashm-e-tar
lagaa hai mere paao.n me.n aa Khaar dekhanaa

honaa na chaar chashm dik uss zulm-paishaah se
hoshiyaar ziinhaar Khabardaar dekhanaa

sayyad dil hai daaG-e-judaaii se rashk-e-baaG
tujh ko bhii ho nasiib ye gulazaar dekhanaa

gar zam_zamaa yahii hai koii din to ham-safiir
is fasl hii me.n ham ko giriftaar dekhanaa

bul-bul hamaare gul pe na gustaaKh kar nazar
ho jaayegaa gale kaa kahii.n haar dekhanaa

shaayad hamaarii Khaak se kuchh ho bhii ae nasiim
Girbaal kar ke kuuchaa-e-dildaar dekhanaa

us Khush-nigaah ke ishq se parahez kiijio ‘Meer’
jaataa hai leke jii hii ye aazaar dekhanaa

No comments:

Popular Posts