Sunday, December 12, 2010

Meri arzu hai Tujhy pyar doon


Meri arzu hai
Tujhy pyar doon!
Tujhy chahaton sy nikhar doon!
.
Kahin ansuon mein doob kar,
Tujhy har gharri mein qaraar doon!
.
Main
janoon-e-ishq mein jhoom kar,
Tujhy qurbaton ka hisaar doon!
.
Mujhy tum sy kitna pyar hai!
Taron ka kesay shumaar doon?
.
Meray har taraf teri soch hai,
Kesay mein khud ko farar doon.
.
Aa kar tum phir kho jao na!
Tumhain apni Rooh mein main utar doon…

No comments:

Popular Posts