nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri
ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri
uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri
ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri
tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri
ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri
No comments:
Post a Comment