Monday, January 2, 2012

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!

kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai

ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai

ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai

shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .

No comments:

Popular Posts