Wednesday, February 1, 2012

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apney Hi Ghar Le K Aa Gaya

Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki
Anjaam Ye K Gard-E-Safar Le K Aa Gaya

Nashtar Hain Mer Haath Main Kaandhon Pe Mae-Kada
Lo Main Ilaaj-E-Dard-Jigar Le K Aa Gaya

Faakir Sanam Kadey Main Na Aata Main Laut Kar
Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idher Le K Aa Gaya

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apney Hi Ghar Le K Aa Gaya

No comments:

Popular Posts