Aaj Ki Raat Phir Khwab Jagayenge Mujhe,
Phir Wo Karwat Se Khayalon Tak Tasalsal Ko Mitane Ke Kehsheed-E-Koshish
JisMke Dard Ko Salwat Mein SaMoo Ke,
Wo Bistar Pe Tadapte Hue, Mehjoori-E-Janaan Ko,
Kabhi Aah Kabhi Saans Ke Gehrayi Mein Shal Karne Ke Saee-E-NakaM,
Ye Bhi MaluM Hia,
Ye NeeM Rasi, FahaM Ke Deewar Talak Jist,
Ye Saya Ke Tasveer, Kisi Shakl-O-Shabahat Ke Tasalsal Ke Nishan Hia Lekin,
Nasaboori, Ye Badal Tod Angdaiyan,
Honthon Pe Mehekti Larzish,
Baat Ko Rabt Ke Ahang Mein Lene Ke Talab,
Mere Seene Ka Dhuwan, Aankehin Sharabur Kiye
Har Bin Moo Ke Mulaqat Ka Joya Kar De,
Aankh Chadte Hue Dariya Ki Tarah Hai Purr Ab,
Paanv Phisle Hai To Phir Saans Ka Rishta Na Rahe,
HuM To Chahenge Magar Is Dilko Achha Na Lage,
Jaan Kuni Hud Se Badhi Charagaron Kuch To Karo...
No comments:
Post a Comment