TuMhe Khabar Hai,
Hawa Rukh Badal Bhi Sakti Hia,
Parinde Apne Baseron Mein ShaaM Dhalne Par
Hua Hai Yun Ke Palatna Bhi Bhool Jaate Hia,
Bahar Rutt Mein Darakhton Ki Tenhiyon Se Kabhi,
Khazan Se Pehle Hi Patte Bichhadne Lagte Hia,
Aur Ek UMar Guzri To Jinke Raston Par
Wohi TaMaM Riyazat Ko Dhool Karte Hai,
TuMhare Lab Pe Ubharti Hui Khafeef Hansi,
Ye Keh Rahi Hia Bhala Is Mein Kya Nayapan Hia,
Magar TaMaaM Kahani Mein Ab Naye TuM Ho,
TuMhe Khabar Hai,
Magar Ye TuMhe Khabar Kab Hai,
TuMhare ZaaM-E-Mohabbat Ki Aur Wafaon Ke
Isi Bahar Mein KhaiMe Ukhad Bhi Sakte Hai,
TuMhe Khabar Hia,
Hawa Rukh Badal Bhi Sakti Hia...
No comments:
Post a Comment