gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya
tamam rat qayamat ka intezar kiya
hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya
ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya
k dil se shor utha, hae! beqarar kiya
tarap phir ai dil-e-nadan, k gair kahte hain
akhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya
bhula bhula k jataya hai unko raz-e-nihan
chipa chipa k mohabbat ko ashkar kiya
tumhen to vada-e-didar ham se karna tha
ye kya kiya k jahan ko ummidavar kiya
ye dil ko tab kahan hai k ho malandesh
unhone vada kiya ham ne aitabar kiya
na puch dil ki haqiqat magar ye kahte hain
vo beqarar rahe jisne beqarar kiya
kuch age davar-e-mahashar se hai ummid mujhe
kuch ap ne mere kahne ka aitabar kiya
2 comments:
Nice Ghazal......who is the poet???
(Mirza Daagh Dehlvi)
Post a Comment