Sunday, June 27, 2010

Hum se mat poch rastay gher ke


Hum se mat poch rastay gher ke
hum musafer hain zindage bher ke

koon suraaj ke aankh se din bher
zakham ginta hai shab ki chader ke

sulah ker le yeh soch ker main ne
mere dushman na the baraber ke

kudh se khemay jala diye main ne
hoslay diekhna the lashker ke

yeh sitaray yeh tottay motti!
aats hain maray didahay ter ke

gerjanoo muslehat na aapnaye
saray rishtay bohat hain phater ke

hum bhi chuntay the sipiyan akser
hum bhi maqrooz hain samander ke

aankh ke gird matami halqay
saye jessay jalay huwe gher ke

dostoon ki zuban tu khulnay do
bhool jaoo ge zakham khanjer ke

chand bhi zerd per gaya aakher
ujray aangan main roshni ker ke

aankh nam bhi karo to bas itni
rang pheekay parain na manzer ke.

No comments:

Popular Posts