Sunday, June 27, 2010

qarar sham o sehar dil mai hai fuzoo'n uska


qarar sham o sehar dil mai hai fuzoo'n uska
gila karoo'n bhi to kaise gila karoon uska

kisey kahoo'n meri rag rag mai hai tarhap uski
suku'n se bethhne daita naheen junoo'n uska

yahi hai haasil e hasti yahi tamanna hai
mera rahey na rahey mai magar rahoo'n uska

na apne aish o tarab ki khabar na apna pata
boht aziz hai lekin mujhe sukoo'n uska

jaha'n jaha'n bhi gaye uski yaad sath rahi
lahoo se silsila qayam raha hai you'n uska

mai isliye usey milne se hich-kichata hoo'n
k apni jaan pe mai bhi sitam sahoo'n uska

jo ho ata mujhey lafzo'n pe dastaras
ghazal k rang mai harr ang rang loo'n uska

No comments:

Popular Posts