Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay
Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb
Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay
Kaash aisi koi rut koi mosam aaye
Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay
Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai
Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay
Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay
Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay
Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay
Aatay nahi hain kionkeh beetay huay zamanay
No comments:
Post a Comment