Sunday, June 13, 2010

Woh keh rahi thi milna mumkin nahi raha ab


Aankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha ab
Sach hai mera sambhalna mumkin nahi raha ab

Jatay huwe thi us ki aankhon mein jo udaasi
Woh keh rahi thi milna mumkin nahi raha ab

Kis ko kahein mohabbat kis ko kahein wafa 
Yun aatebar karna mumkin nahi raha ab

Thi tark-e-talluq ki ab ibtada zaroori 
Shayad k sath chalna mumkin nahi raha ab

Ab intezar kyun hai dil beqarar kyun hai 
Us ka to lot aana mumkin nahi raha ab

Hai her taraf andhera ruswaiyon ka dor hai 
Ghar se bahar nikalna mumkin nahi raha ab

No comments:

Popular Posts