aseer-e-waswasa kyon ho
watan kay roz-o-shb say
kis liay bayzaar ho itnay
tumhari aankh me kyon
bayghari kay khwaab raqsaan hai
nigahon main yay har lamha
wo mehfil kis liay aakhir
jahan ki roshni
pehchaan hum say cheen layti hai
rugon main akhir
kyoon khauf ka aalam hai iss darja
fiza-e-bayyaqeeni
kyon utar aai hai sanso main
abhi tu apni mitti main 'namo' ka wasf zinda hai
abhi jharnay salamat hain
abhi darya main pani hai
abhi jheelain nahi sokhen
abhi jungle nahi ujray
fizaon me abhi tak
badalon ka aana jana hai
hawaon me nami ka silsala
taa-dare hai qaim
abhi tak fasl-e-gul ka daman-e-shadaab hai baqi
abhi tak qatra-e-shabnam ki aab-o-taab hai baqi
humaray naam kay daanay
ugga kartay hain khaiton main
humari sar zameen ki
phool say nisbat abhi tak hai
abhi tak titlian perwaaz karti hain gulistan main
haraarat zindagi ki
barf nay ab tak nahi cheeni
sulagtay mehr nay
barsaat ka mausam nahi cheena
abhi sehraon kay afreet say
mehfooz hain darya
abhi nakhl-e-tamana ki
hari shaakhain salamat hain
abhi qadmon kay neechay
maa sift
mitti ki hiddat hai
mayray bhai!
tum is sachai say aagah tu ho gay
Parinday aisay mausam me
kabhi hijrat nahi kartay
No comments:
Post a Comment