Friday, August 27, 2010

Hujoom-e-gham say jis dam aadmi ghabra sa jaata hay


Hujoom-e-gham say jis dam aadmi ghabra sa jaata hay..

To aisay may...

Usay awaaz pay qaabu nahee'n rehta...

Woh itnay zaur say faryaad kerta, cheekhta aur bulbulaata hay...

K jaisay woh zamee'n per aur Khuda ho aasmaano'n may...

Mager aisa bhi hota hay...

K us ki cheekh ki awaaz k ruknay say pehlay hi...

Khuda kuch is qadar nazdeek say aur is qadar...

Rehmat bhari muskaan say us ko thapakta hay aur us ki baat sunta ...

Hay k faryaadi ko apni cheekh ki shiddat...

Sadaa ki bay-yaqeeni per nadaamat honay lagti hay..

No comments:

Popular Posts