rait se butt na bana ay mere ache fankar
ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la dun
main tere samne ambar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kam ayega
surkh patthar jise dil kahti hai bedil duniya
ya wo pattharai hui ankh ka nila patthar
jis main sadiyon k tahayyur ke pare hon dore
kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi
jis pe haq bat bhi patthar ki tarah girati hai
ik wo patthar hai jise kahte hain tahazib-e-safed
us k marmar main siyah Khun jhalak jata hai
ik insaf ka patthar bhi to hota hai magar
hath main tesha-e-zar ho to wo hath ata hai
jitne mayar hain is daur ke sab patthar hain
sher bhi raqs bhi tasvir-o-gina bhi patthar
mere ilham tera zahan-e-rasa bhi patthar
is zamane main har fan ka nishan patthar hai
hath patthar hain tere meri zuban patthar hai
rait se butt na bana ay mere ache fankar
No comments:
Post a Comment