Friday, December 24, 2010

Us ke hathon se jo khushboo-e-hina aati hai


Us ke hathon se jo khushboo-e-hina aati hai

Aesa lagta hai ke jannat se hawa aati hai

Choomne daar ko kis dhaj se chala hai koi

Aaj kis naaz se maqtal mai qaza aati hai

Na kabhi koi kare tujh se tere jesa sulook

Haath uthte hi yahi lab pe dua aati hai

Tere gham ko yeh barhana nahi rehne deti

Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai

Us ke chehre ki tamazat bhi hai shamil is mai

Aaj tapti hui sawan ki ghata aati hai

Ghoomne jab bhi tere shehr mai jati hai wafa

Bain karti hui wapas wo sada aati hai

Hai wohi baat har ik lab pe bohot aam yahan

Hum se jo kehte hue un ko haya aati hai

No comments:

Popular Posts