Friday, December 16, 2011

Aye arz-e-watan

Aye arz-e-watan
Zara mujh ko ye to bata
Aakhir majraa ye hai kia
Kiyun aakhir teri arz-e-paak per
Nezon pe saron ko uchala gaya
Namoos-e-bint-e-hawa ko rondaa gaya
Bachon ke sar se saya-e-pidr
Kiyun aakhir uthaya gaya

Betiyun ka yahan bazaar sajaya gaya
Jo bik na saki
Uss rooh ko phir jalaya gaya
Kal talak jahan
Chehchachaat chiryun ki thi
Wahan aaj phir kiyun
Barood chalaya gaya

Aye arz-e-watan
Teri fizaaon may aaj
Rooh-e-Quaid phir se
Sharminda hoi
Har ankh phir se ranjeeda hoi
Poochey hai yehi aik sawal aaj bhi

Kiyun aakhir
Khoon-e-shehedaan se rangeen
Ye chand tarey ka parcham
Lehraya gaya


No comments:

Popular Posts