Friday, December 16, 2011

Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak

Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamre mein machalti garm saanson ki mehek,
baazuon ke sakht halke mein koi naazuk badan,
silvatein malaboos par aanchal bhi kuch dhalka hua,
garmi-e-rukhsar se dhanki hui thandi hawa,
narm zulfon se mulayam ungliyon ki chhed chhaad,
surkh honthon par shararat ke kisi lamhe ka aqs,
reshmi baahon mein chudi ki kabhi madhham khanak,
sharmagin lehjo mein dhire se kabhi chahat ki baat,
do dilon ki dhadkano mein gunjti thi ek sada,
kaanpte honthon pe thi allah sirf ek dua,
kaash ye lamhe theher jaaye theher jayein zara..

No comments:

Popular Posts