Thursday, March 8, 2012

Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi


Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi…
Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.
Jo taqub me thi ek dusre ke..
Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..

Mujhko ye fikr ke bijli ka current
chu gaya nangi kisi taar se toh..
aag ke lag jane ka bhayas hoga.

Usne kaagaz ki kai kashtiyaan paani me utaari.
Aur ye keh ke baha di ke..samander me milenge…

Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…
Kud ke utrega kohsahr se jab..
tod ke le jayega ye kachhe kinaare..

Ouk me bharke wo barsaat ka paani…
adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..
Wo bohut choti thi, kamsin thi,
woh masoom bohut thi..
Aabisharon ke tarannum pe
kadam rakhti thi…
aur goonjti thi..

Aur main umr ke ifkaar me ghoom…
tajurbe-humraah liye…,
saath hi saath mein
behta hua…chalta hua… behta gaya

No comments:

Popular Posts