Thursday, March 8, 2012

Doosra misra

Nagihan sahen-o-chaman main
Majma'-e_sar-o-saman main
Jese ho rooh badan main
Jese ho shama' lagan main
Jese khursheed kiran main
Mah parveen-o-paran main
Dekha ik dil per ra'na
Wa tarahdaar jafakaar
Dil azaad namoodaar
Nigah hamsar shamsheer
Muza turkash per teer
Sur zulf girahgeer
Dil khalq ki zanjeer
Jabeen noor ki tasweer
Wo rukh shams ki tanweer
Zabaan shahed bayaan sheer
Nazar rooh ki akseer
Dahen guncha_e_khamosh
Saman barg bar-dosh
Sukhan baher gaher-josh
Badan sur-o-qaba-posh
Charri gul ki hum-aagosh
Wafa rahem-faramosh
Her ik aan sitam-kosh
Ajab husn dil-aara
Na kabhi maher ne dekha
Na kabhi maah ne dekha
Na kisi fahem main aaya
Na tasweer main samaya
Wo nazr mujh ko jo aaya
Mujhe husn apna dikhaya
Dil ne aik josh uthaya
Jee ne sub hosh urraya
Sur ko paaon pe jhukaya
Ashk aankhon se bahaya
Us ne jub youn mujhe paaya
Ye sukhan hans k sunaya
K "Tu hai aashique sheeda
Lekin aashique nahi paida
Hoowe tujh per ye howeeda
K ager hum ko tu chahe ya mohabbat ko nibhaye
Na kabhi gham se karahe
Na kisi ghair ko chahe
Na kabhi gul ki taraf dekh
Na sumbul ki taraf dekh
Na bul-bul ki taraf dekh
Na bostaan pe nazar ker
Na gulistaan main guzr ker
Chorr de sub ki moddat
Hum se rakh dil ki mohabbat
Aese main hum bhi tujh se chahen
Tujh se ulfat ko nibhayen
Hain yahi chah ki raahen
Ger ye maqdoor tujhe ho
Aur ye manzoor tujhe ho
Tou Nazeer aaj se tu chahne wala hai humara"

No comments:

Popular Posts