Tuesday, August 13, 2013

Bala Ki Dilkash Hein Yaar Aankhein

Bala Ki Dilkash Hein Yaar Aankhein
Khizaa'n Ki Rut Mein Bahaar Aankhein,

Jo Uth Gai To Dua Hein Logo,
Mohabbato'n Ki Pukaar Aankhein,

Sabab Hein Merey Sukoon-e-Dil Ka,
Meri Nazar Ka Qaraar Aankhein,

Udaasiyo'n Mein Khushi Ki Sa'at,
K Nafrato'n Mein Hein Piyaar Aankhein,

Meri Ghazal Ka Hein Ye Tassawur,
Merey Sukhan Ka Nikhaar Aankhein,

Wujood Enka Shifa K Jaisa,
Hein Chara Gar Ghamgusaar Aankhein,

En Hi Ne Hasna Sikhaya Mujh Ko,
Tabbassumi Khushgawaar Aankhein,

Ulaj K Tumse Sulajh Gai Hein,
Hui Hein Tum Pe Nisaar Aankhein,

Nigah K Gulshan Mein Bus Gai Hein,
Gulo'n K Jaisi Ye Khaar Aankhein,

Bhala Mein Kaisey Behek Na Pao'n,
Mein Be-Khudi Hun Khumaar Aankhein,

Nahi Hein Koi Tumhary Jaisi,
Mein Dekh Aya Hazaar Aankhein,

Tumhari Hasrat Mein Nam Hui Hein,
Hein Roi Zaar-o-Qataar Aankhein,

Ajab Hay Soda Ajeeb Qeemat,
Hay Naqd Ye Dil Udhaar Aankhein,

Aseer Apna Bana K Ahmed,
Hui Hein Kaisey Faraar Aankhein.....!!!

No comments:

Popular Posts