ab ke is taur se aanchal ki hawa de mujh ko
jaagte zaehen ki meeraas bana de mujh ko
jo mere dard ki awaaz samajh sakta ho
aye zamaane, koi aisa Khuda de mujh ko
mein ne samjha hai tujhe munsif-e-dauraan aksar
merii na-karda gunahii ki sazaa de mujh ko
mein terii rah mein aik sang-sabak wazzan toh hoon
dair kiya lagti hai, tohkar se hatta de mujh ko
yeh alag baat ke ohjhal hoon nazar se warna
mein tere paas hii rehta hoon, sada de mujh ko
mein dharakta hoon tere siine mein dil ki surat
aye mere dushman-e-jaan, aur dua de mujh ko
uff! shab-e-gham ka woh tehra hua lamha faysal
jab mere weham kii aahat bhi jaga de mujh ko
No comments:
Post a Comment