Sunday, September 20, 2009

Yeh Jo Sham Dhal Rahi Hay


Yeh Jo Sham Dhal Rahi Hay
Isay Sehal b Na Jano
Yeh Thehar Gayi Jo Dil Mein
Yehi Shab Halakton Ki
Yehi Dopehar Ki Kari Hay
Pas-e-Gard-e- Ehd-o-Paimaan
Yeh Jo Hijr Ki Ghari Hay
Yeh Fishar-e-Jaan Ka Mausam
Yeh Jo Dil Giraftagi Hay
Yeh Jo Weham Hay Lahoo Mein
Yeh Jo Seham Aankh Mein Hay
Yeh Sinaan Si Waswasoon Ki
Jo Khayal Mein Gharri Hay
Yeh Jo Aik Khalish Wafa Ki
Tera Jaur Seh Gayi Hay
Yeh Jo"UnKahi Kahani"
Mery Dil Mein Reh Gayi Hay
Yeh Thakan Rahay Junoon Ki
Jo Utar Gayi Ragon Mein
Yeh Teri Meri Khushi Hay
Yeh Chiragh Chahton k
Jo Hawa Mein Jal Rahay Hain
Inhein Kab Talak Sambhalein?
Chalo Phir Se Torr Daalein
Vo Tamaam Ehd-o-Paimaan
k Main Tujh Mein Jee Raha Hoon
k Tu Mujh Mein Bus Rahi Hay
Chalo Phir Se Sochtey Hain
k Main Tujh Se Naa Shanasa
k Tu Mujh Se Ajnabi Hay
Vo Jo Rasm-e-Dosti Hay
Vo Rahay To Jaan Salamat
Na Rahay To Phir b Jaana
Tera Gham Sambhalney Ko
Abhi Zindagi Parri Hay...!!!
__________________

No comments:

Popular Posts