Sunday, September 20, 2009

Abhi Jeeney De


Abhi Jeeney De
Aey Gham-e-Hayaat
Abhi Palkon Se Jurray Hain Kuch Khawab Mery
Abhi Dhoondna Hay Khud Ko Baqi
Saray Rastay Hain Sarab Mery
Abhi Tishna Hoon
Muhabbat k Sagar Mein Behney De
Goyaii Chin Gayii Kab Se
Kuch Kehna Chahta Hoon Kehney De
Abhi Aas-o-Ummeed Ne Dam Nahi Torra
Kisi Mojzey Ki Aur
Dekhta Rehta Hoon
Jo Hona Hay Vo To Hoga
Yunhi Qismat Ki Lakeeron se
Ulajhta Rehta Hoon
Koi Mojza Koi Jaduu
Koi Sehar To Kar De
Khushion Se Mera
Daman To Bhar De
Thak Gaya Hoon
Chalty Chalty Tery Saath
Abhi Jeeney De
Aey Gham-e-Hayaat. ..!!!

No comments:

Popular Posts