Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai
Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai
Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai
Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai
Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay
Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai
Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni
Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai
Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main
Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai
Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni
Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai
Sunaoon Aisi Dhunn Kay Na Ho Tujhko Kabhi Talab
Apni Hansi Mein Woh Munfarid Kamaal Rakhna Hai
Na Ho Jaye Kabhi Tujhko Meray Ro Baru Nadamat
Teray Samnay Hamesha Aasan Sawal Rakhna Hai
Bichar Ke Mujhse Na Jaye Tu Dunya Ki Thokaron Main.
Tujhko Apnay Paas Rakh Kar Lazawaal Rakhna Hai
Kho Na Jaye Tu Zindagi Ke Andhairon Main Kahin
Teray Waastay Ujaaloon Ko Ghulam Rakhna Hai
Raha Muntazir Uska Tu Dhoop Main “Ahl-e-WAFA”
Woh Jab Lautay Tou Chaoon Ko Nikaal Rakhna Ha
No comments:
Post a Comment