Aa Ke Waabasta Hai Us Husn Ki Yaadein Tujhse
Jisne Is Dil Ko Pari-Khaana Bana Rakha Tha
Jiski Ulfat Mein Bhula Rakhi Thi Duniya HuMne
Dahar Ko Dahar Ka Afsana Bana Rakha Tha
Aashnaa Hain Tere QadMon Se Woh Rahein Jin Par
Uski Madhosh Jawani Ne Inaayat Ki Hai
Karwaan Guzre Hain Jinse Isi Ra’anaai Ke
Jiski In Aankhone Be-Sud Ibadat Ki Hai
Tujhse Kheli Hai Woh Mehboob Hawaayein Jin Mein
Uske Malbuus Ki Afsurda Mahek Baaqi Hai
Tujh Pe Bhi Barsaa Hai Us BaaM Se Mehtaab Ka Noor
Jis Mein Beeti Hui Raaton Ki Kasak Baaqi Hai
Tune Dekhi Hai Voh Peshaani, Woh Rukhsaar, Woh Honth,
Zindagi Jinke Tasavvur Mein Luta Di HuMne
Tujhpe Uthi Hain Woh Khoyi Khoyi Saahir Aankhein
Tujhko MaluM Hai Kyon UMr Ganwa Di HuMne
HuM Pe Mushtarak Hain Ehsaan GhaM-E-Ulfat Ke
Itne Ehsaan Ki Ginwaun To Ginwa Na Sakun
HuMne Is Ishq Mein Kya Khoya Hai Kya Sikha Hai
Juz Tere Aur Ko SaMjhaun To SaMjha Na Sakun...
No comments:
Post a Comment