Kahan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jale Chirag To Bujhne Laga, Mera Chehra
Woh Tere Hijar Ke Din Woh Safeer Sadiyon Ke
Tu Un Dinoon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra
Judaiyon Ke Safar Mein Rahe Hain Saath Sada
Teri Talash, ZaMane, Hawa, Mera Chehra
Mere Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan Ke Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra
Kitaab Khol Raha Tha Woh Apne Maazi Ke
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra
Sehar Ke Noor Se Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ke Gard Mein Lipta Hua Mera Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya QayaMat Thi?
Badan Ke Shaakh Se Phir Gir Pada Mera Chehra
Jise Bujha Ke Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh ShaMa-E-ShaaM-E-Safar Thi Ke Mera Chehra
Yeh Log Kyon Mujhe Pehchante Nahi Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...
No comments:
Post a Comment