Friday, May 21, 2010

Ye Chandni Khili Khili








Ye Chandni Khili Khili,
ChaMak TuMhare Rang Ki, 
Ye Sardiyon Ki Dhoop Si, 
Tapish TuMhare Roop Ki, 
Phir Inpe Yaasiyat Ka Rang,
HaMein To Kuch Jacha Nahi, 
Labon Pe Muskurahatein,
Sajao Khush Rah Karo,
Udaas Mat Hua Karo, 

TaMaaM Rozgaar Ki,
AlaM Taraaz Sa'atein,
Hansi Ki Oat Mein Basi
Kayi Hazar Nafratein,
Har Ek Rukh Ki Oat Mein,
Chhupi Hui Munaafqat,
TaMaaM Manzaron Ka Dukh,
Bahut Rulaye Hai Magar, 
Ye Log To Isi Tarah,
SitaM Kiya Karein SanaM,
TuM Inki Baat Baat Par, 
Dhyan Mat Diya Karo, 
Udaas Mat Hua Karo...

TuMhe Udaas Dekh Kar, 
Kisi Ke Rang Kho Gaye, 
Kahin Pe Chand Bujh Gaya
Kahin Sitare So Gaye,
Kahin Pe Baarishon Ki Rut, 
Ghazab Ki Pyaas Ban Gayi, 
Koi Bahar Ruth Kar, 
Sarapa Yaas Bun Gayi,
Kisike MausaMon Ko Yun
Azaab Mat Kiya Karo,
Udaas Mat Hua Karo...

No comments:

Popular Posts