Humein khabar hi nahin kuchh tumhare aane tak
ke dil ko chain na aaye ga ik zamane tak
jo hum yaqeen bhi kerlein tumhare wadon ka
jiye ga kaun tumhare palat kay aane tak
gumaan bhi nahin hota hai sun-ne walon ko
ke waqia hi badal jaata hai sunane tak
guzar gai hay isi darmiyan saari umar
swaal kerne se le ker jawab aane tak
har ik chaal agarche buhat hi mushkil thi
mein aa chuki hoon magar jeetney ke khaney tak
tumhein kuchh unkay dilon ki khabar bhi hai ke nahin
pahunch sake na parindey jo ashiyane tak
har ik mehaz pe hara hi hay mera dushman
thaher saka hi nahin aakhri nishane tak
mujhe ye dar hai ke "abii" mere munafiq dost
samet den na meri dastan fasane tak
No comments:
Post a Comment