Saturday, June 19, 2010

shehr kee raat aur maiN naashaad o naakaara phirooN

shehr kee raat aur maiN naashaad o naakaara phirooN
jagmagaati, jaagti saRkoN pe aavaara phirooN
Ghair kee basti he kab tak darbadar maaraa phirooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

jhilmilaate qumqamon kee raah maiN zangeer see
raat ke haathoN maiN din kee mohni tasveer see
mere seene per magar dhakee huee shamsheer see
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

ye ropehlee chaaooN ye aakaash per taaroN ka jaal
jaise soofi ka tasavvur jaise aashiq ka Khyaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

phir voh toota ik sitaara phir voh chooti phuljhaRee
jaane kis kee god maiN ayee ye moti kee laRee
hook see seene maiN uTThee, *** see dil per paRee
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

raat hans hans kar ye kehtee he ke maiKhaane maiN chal
phir kisi shehnaaz lala ruKh ke kaashaane maiN chal
ye naheeN lekin to phir aye dost veeraane maiN chal
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

har taraf bikhree huee rangeeniyaaN, raanaayiaaN
har qadam per ishrataiN leti huee angRayiaaN
baRh rahee haiN god phelaae hue rusvaaiaaN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

raaste maiN ruk ke dam looN ye meri aadat naheeN
lout ka vapis chalaa jaaooN meri fitrat naheeN
aur koi hamnavaa mil jaye yeh qismat naheeN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

muntazir he aik toofaan e balaa mere liye
ab bhee jaane kitne darvaaze haiN vaa mere liye
per museebar he meraa ahd e vafaa mere liye
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

jee maiN aata he ke ab ahd e vafaa bhee toR dooN
un ko paa saktaa hooN maiN ye aasraa bhee toR dooN
haaN munaasib he, ye zanjeer e havaa bhee toR dooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

ik mehal kee aaR se niklaa voh peela mahtaab
jaise mulla kaa amaama jaise banye kee kitaab
jaise muflis kee javaani jaise bevaa ka shabaab
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

dil maiN ik sholaa bhaRak uTThaa he aaKhir kyaa karooN
meraa paimaana chalak uTThaa he aaKhir kyaa karooN
zaKhm seene kaa mahak uTThaa he aaKhir kyaa karooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

jee maiN aata he ye murdaa chand taare noch looN
is kinaare noch looN aur us kinaare noch looN
aik do ka zikr kyaa, saare ke saare noch looN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat dil kyaa karooN

muflisi aur ye mazaahir haiN nazar ke saamne
saiNkaRoN sultaan o jaabir haiN nazar ke saamne
saiNkaRoN changaiz o naadir haiN nazar ke saamne
aye Gham e dil kyaa karooN, aye vehshat e dil kyaa karooN

le ke ik changaiz ke haathoN se Khanjar toR dooN
taaj per us ke damaktaa he jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe maiN hee baRh kar toR dooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

baRh ke is andar sabhaa ka saaz o samaaN phoonk dooN
is kaa gulshan phoonk dooN, us ka shabistaaN phoonk dooN
taKht e sultaaN kyaa, maiN saara qisr e sultaaN phooNk dooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

No comments:

Popular Posts