Sunday, June 27, 2010

usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha


usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha
woh jo us ki subah e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha

Mera dard kesay woh janta meri baat kesay woh manta
Woh tou khud fana k safar mein tha usay rokna bhi muhal tha

Kahan jaou gay mujhay chor k mai yeh pooch pooch k thak gaya
Woh jawab mujh ko na day saka woh to khud srapa sawal tha

Woh jo us kay samnnay aa gaya wohi roshni mein naha gaya
Ajab us ki haibat e husn thi ajab us ka rang o jamal tha

Dam e wapsi usay kya huwa na woh roshni na woh tazgi
Woh sitara kesay bikher gaya woh to aap apni misal tha

Woh mila to sadioun k baad bhi merey lab pay koi gila na tha
Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu mein kamal tha

Mere saath lag k woh rou diya mujhay faqat itna woh keh saka
Jisay janta tha mai zindagi woh to sirf wehm o khayal tha

3 comments:

Unknown said...

i just love it...... its really amazing!!!

Anonymous said...

nice ghazal

Unknown said...

nice poetry

Popular Posts