Wednesday, August 4, 2010

bujhay bujhay se ajeeb din hain na khwab hai na khayyal koi



bujhay bujhay se ajeeb din hain, na khwab hai na khayyal koi

na manzaroN mein koi kashish hai, na mausamoN mein jamal koi


hum ek doojay ko apni apni adhoori aankhoN se dekhtay hain

hamari barsoN ki chahatoN par utar raha hai zawaal koi


jo hansna chaheN to ashk nikleN, jo rona chaheN to hanstay jayeN

hamaray jazbaat girvi rakh kar bana raha hai misaal koi

No comments:

Popular Posts