Wednesday, August 4, 2010

Jo ghar se duur hotey hain Buhat majboor hotey hain



Jo ghar se duur hotey hain
Buhat majboor hotey hain
Kabhi baaghon mein sotey hain
Kabhi chup chup ke rotey hain
Gharon ko yaad kartey hain
To phir faryaad kartey hain
Magar jo be-sahara hon
Gharon se be-kinara hon
Unhen ghar kaun deta hai
Yeh khatra kaun leta hai...

Bari mushkil se ik kamra
Jahan koi na rehta ho
Nagar se paar milta hai
Buhat bekaar milta hai
To phir do teen hum jaise
Mila letey hain sab paise
Aur aapas mein yeh kehte hain
Keh mil jul kar hi rehtey hain
Koi khana banaye ga
Koi jhaaroo lagaye ga
Koi dhoye ga sab kaprey
To reh lein ge barey sukh se...

Magar garmi bhari raaten
Tapish-aalood soghaten
Aur uper se ajab kamra
Ghutan aur habs ka pehra
Thakan se choor hotey hain
Sukoon se duur hotey hain
Buhat ji chahta hai tab
Keh maan ko bhej de ya Rab
Jo apni god mein le le
Humein thandi hawa de de
Sula de neend kuch aisi
Keh tootey phir na ik pal bhi...

Magar kuch bhi nahi hota
To kar letey hain samjhota
Koi dil mein bilakta hai
Koi pehron sulagta hai
Jab apna kaam kar ke hum
Palat'tey hain to ankhen num
Makaan weeran milta hai
Buhat be-jaan milta hai
Khushi ma'doom rehti hai
Fiza maghmoom rehti hai...

Buhat ranjoor kyun na hon
Barey majboor kyun na hon
Awa'il mein maheeney ke
Sab apney khoon paseeney ke
Jo paise jor letey hain
Gharon ko bhej detey hain
Aur apney khat mein likhtey hain
Hum apna dhiyan rakhtey hain
Bari khush bakht ghariyan hain
Yahan khushiyan hi khushiyan hain!!!

No comments:

Popular Posts