kabi aisa bi hota hai
k jin ki chalon pe hum
apni kisamt ki buniadain rakhte hain
wo tare tot jate hain
wo daman chot jate hain
kabi aisa bi hota hai
k ye tote hui tare
phir se jagmagate hain
musafir lot aate hain
kabi aisa bi hota hai
k wakt k sagar se hum
yadon k jo kuch anmol se moti
dil k dhage main pirote hain
gam se jalne klagte hain
phir bikhrne lagte hain
kabi aisa bi hota hai
k ye bikhre hui moti
phir se jur bi jate hain
yadon k haseen wo pal
phir se mur bi aate hain
kabi aisa bi hota hai
k raste hi main kahin pe
manzil kho si jati hai
kadam barhate hi rehate hain
hum chalte hi rehate hi hain
lakin fasle kisi bi tarha se
kam nai hote
or kabi aisa bi hota hai
k hum khud ko tok bi dain to
kadmon ko rok bi dain to
manzir badalne lagte hain
raste hi chalne lagte hai
yakin jano ye sab such hai
kabi aisa bi hota hai
k dil ro k bi hansta hai
k dil hans k bi rota hai
kabi aisa bi hota hai
han
kabi aisa bi hota hai
No comments:
Post a Comment