Tuesday, April 28, 2009

daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN

.......................................................................


daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN
KHaak 'eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN 


kyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ?
insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN 



yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?
loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN 



had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste
aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN 



kis waaste 'azeez naheeN jaante mujhe ?
laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN 



rakhte ho tum qadam meree aaNkhoN se kya dareGH
rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN 



karte ho mujhko man'a-e-qadam_bos kis liye ?
kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ? 

 

'GHalib' wazifaa_KHwaar ho, do shaah ko duaa
woh din gaye ki kehte the;, "naukar naheeN hooN maiN" 



......................................................................

Popular Posts