Tuesday, April 28, 2009

ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair

..........................................................................


ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair 

 
kehte haiN, jab rahee na mujhe taaqat-e-suKHan
jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair 

 

kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
lewe na koee naam 'sitamgar' kahe baGHair 



jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
sar jaaye ya rahe, na rahaiN par kahe baGHair 

choDooNga maiN na us but-e-kaafir ka poojna
choDe na KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair 



maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
chalta naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair 

 

har chand ho mushaahit-e-haq ki guftagoo
bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair 



behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
sunta naheeN hooN baat muqarrar kahe baGHair 

 

'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
zaahir hai tera haal sab un par kahe baGHair 

...........................................................................

Popular Posts