Tuesday, April 28, 2009

miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN

miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN 

 

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN 

 

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN 

 

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN 



mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN 



jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ? 



maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN 



mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN 



hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN 

 

1laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN 

 

woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN 



woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN 



'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN 



.......................................................................

Popular Posts