GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke
KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke
KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke
raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab'be jaam-e-'eharaam ke
dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke
shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din fireiN hammaam ke
ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the; kaam ke
.......................................................