Sunday, August 15, 2010

Main bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamm'oN ke saath


Main bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamm'oN ke saath
Aur kuchh lamhe thehar...E Zindigi...E Zindigi

Jab talak zinda hain Ankhon ke Furdah Taqche
Neelgon honthon se phutegi sadaa ki Raushni
Jism ki girti huyi deewar ko thaame huye
Mom ke but aatishiN chehre sulagti murti
Meri beenayi ki ye Makhlooq Zinda hai abhi

Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi

Ho to jane de mere lafzon ke maani se tahii
meri tehreereN, Dhuyen ki rengti parchhayiyaN
Jinke paikar apni awazon se khali belahu!
Mehav ho jane to de yaadon se khwabon ki tarha
Ruk to jayen aakhri sanson ki wehshi Andhiyaan
Phir haat lena m,ere maathey se tu apna haath
Mai bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamo ke saath

Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi!!!

No comments:

Popular Posts