Wohi qissay hain ,wohi baat purani apni
Kon sunta hai bhala ram kahani apni
Har sitamger ko ye hamdard samajh leti hai,
Kitni khush-feham hai kambakht jawani apni,
Roz miltay hain darechay mein naye phool mujhe,
Chorrh jata hai koi roz nishaani apni
TumSe Bichrey Hain To Paya Hai Biyanbaan Ka Sakoot
Warna Daryaon Se Milti Thi Rawani Apni
Dushmano'n se hi gham-e-dil ka madawa mange'n
Dosto'n ne tou koi baat na maani apni
Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra Mohsin
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni
No comments:
Post a Comment